Kaamwali Baai Ne Deepak Se Deepika Banaya
Hello friends, Main Deepak hu kaise Main Deepika bana aapko ye story me batata hu. Mere ghar me sirf Main aur mummy rehte hai. Aaj se 10 saal pehle meri mummy papa ka divorce ho chuka hai. Hamare paiso ki koi kami nahi rahi kabhi as mummy ka export ka business hai. jo ki bohot accha chalta hai. jiski wajah se mummy hamesha bahar hi rehti hai.
Ghar pe hamare ek kaamwali baai rehti hai. jo ki 26 27 saal ki hai. Aur dikhne me bohot sundar hai. Uska naam Manju hai.
Main dikhne me bohot smart hu. Meri age 17 saal ka hai. Aur meri ek girlfriend bhi hai. Jiska naam Saloni hai.
Meri school khatm hui thi to Main hamesha ghar pe hi rehta tha. Meri mummy hamesha hi traditional rehti hai aur hum bhagwan mei bohot maante hai. Meri mummy ne meri 12th exam ke liye mannat maangi thi ki jab tak mein 12th me 80 percent nahi lekar aata tab tak Main baal nahi katwaunga to mere baal mere kamar tak aate the.
Meri kaam wali baai mujhe apna chhota bhai jaisa samajhti thi. Kyuki woh bachpan se hamare yahi rahi hai. Hum bohot masti karte the. Aur Main bhi uuse behen hi maanta tha.
Ek baar aise hi masti masti Me usne puuchha aap ghar pe hi rehte ho bhaiya bore nahi ho jaate.
Maine kaha aap bhi to ghar pr hi hoti ho to bore kaise ho sakta hu
Usne kaha mai to itna kaam karti hu poora din hi nikal jaata hai pata hi nahi chalta.
Aapko nahi pata ek baai ko kitna kaam hota hai.
Maine kaha ye to mai bhi kar sakta hu ismei kya ?
Manju ne kaha itna bhi aasaan nahi hai.
Maine kaha aasaan to nahi hai but aapko roz karte karte aadat ho chuki hai to aapke liye to aasaan hi hoga.
Manju ne kaha aadat to kaha majboori hai warna mai bhi aapki tarah aaraam karti
Maine kaha mere exams khatm hue hai to mai isliye aaraam kar raha hu warna to aapko pata hi hai mai to 14 14 hrs sirf padaai karta thha
Manju - haan bhaiya aap bhi bohot mehnat karte ho bas mere kaam mei itni thakaan ho jaati hai kya batau?
Main - aap mujhe bata diya karo mai aapki help kar duunga waise bhi mai free hi rehta hu.
Manju - nahi nahi pagal ho aapki mummy ko pata chala to mujhe kaam se nikaal degi aur waise bhi ye kaam ladkiyo pe hi acche lagte hai as aage jaake unko apna sasuraal sambhalna padta hai aur waha acche se saari jimmedaari sambhalni padti hai.
Main - aap kab se ladka ladki baatein karne lage aajkal to ladkiya ladko se jyaada tarakki kar rahi hai aur kuch ladke bhi to ghar sambhalte hai.
Manju - kaash aap ladki hote to mai aapki help le leti waise ek baat batau ? Aap bohot sundar ladki bante.
Main - aapko help karne ke liye ladki banna jaroori to nahi.
Manju - nahi but ye aage jaake ladkiya hi seekhti hai waise aapke itne lambe baal hai aap mere kapde pehen lo to aap bhi ladki hi lago.
Main - mai kyu pehenne laga tumhare kapde chhodo , mai ladka hi sahi
Tabhi Manju has padi
Main - aap has kyu rahi ho
Manju - kuch nahi mai soch rahi thhi aap meri saree mei kaise lagoge hahahaha
Main - huh ab bas karo mai to ye pyjama aur tshirt mei bhi aapki madad kar sakta hu
Manju - haan but aap saree mei bohot sundar lagoge ek baar try karoge ? Waise bhi aap baithe baithe bore ho rahe ho aur yaha hum dono ke alawa koi hai bhi nahi aur Memsaab bhi bahar gayi hui hai raat se pehle to aayengi nahi woh
Main - nahi nahi mujhe nahi try karni ye saree wagarah kuch
Manju - ek baar pehenne se aap kaunsi ladki ban jaaoge ? Meri nahi to aapki mummy ki saree le aati hu waise bhi aapke itne lambe baal hai aadhi ladki to aap lagte hi ho bhaiya mai poori bana deti hu
Mai Manju ko gussa nahi kar sakta thha kyuki uusi ne mujhe bada kiya thha aur mera apne bhai se bhi badhkar dhyaan rakhti thhi
Main - nahi nahi mai accha nahi lagunga rehne do aap apna kaam karo mai jitne TV serial dekh raha hu
Fir maine tv start kiya aur aise hi koi movie aa rahi thhi jitne Manju ne bhi apna kaam khatm karke aa gayi aur mere paas baith gayi
Fir ek actress ko dekhke kehne lagi aajkal ki ladkiya sirf jeans aur tshirt hi pehenti hai Saree pehenna to bhul hi gayi hai
Manju - dekho bhaiya ye isne same aise hi jeans aur tshirt pehen rakhe hai jaise aapne pehen rakha hai aap bilkul iske jaise dikhte ho aapke bhi baal lambe hai aap chaaho to mai aapko isse bhi sundar bana du
Aap to waise bhi isse bohot jyaada acche dikhte ho aur aap to kaafi patle bhi ho
Main - manju didi aap fir ye baatein leke baith gaye?
Manju - nahi bhaiya dekho na isne same aap jaise hi kapde pehen rakhe hai aajkal baal lambe na ho to ladke aur ladkiyo mei koi difference hi na ho
Main - ladke ladke hote hai aur ladkiya ladkiya .. sab difference bata sakte hai
Manju - nahi bhaiya lagi shart ? Mai aapko aise ready karungi agar memsaab bhi bata de ki aap ladki nahi ho to mai aap jo bologe woh karungi
Main - mujhe nahi taiyaar hona kaise bhi mai jaisa hu waise accha hu
Manju - Deepak bhaiya mai aapko Deepak se Deepika bana duungi jyaada mehnat ki bhi jaroorat nahi padegi ismei
Maine socha aaj inko kya ho gaya hai?
Main - Manju didi aap kitna mazaak karti ho , ab aap kaam kar lo mai apne room mei hu
Jaise hi deepak jaata hai Manju sochti hai ye aadha ladki hi dikhta hai ise ek baar saree to pehnani hi hai
Deepak apne room mei jaake sochta hai Manju didi kitni sundar hai aur kaam bhi kitna achha karti hai kaash mai ladki hota to aaj unke jaisa hota fir deepak ko lagta hai ye kya soch raha hu mai?
Manju paani leke aati hai uuske paas
Manju - ye lo didi aap paani peeyo aur fir apna game khelo
Deepak - didi ? Mai bhaiya hu didi nahi
Manju - aapke itne lambe baal hai aapko dekhke bhaiya jaisa lagta hi nahi aap mujhe chhote bhai se jyaada apni chhoti behen lagte ho
Deepak haste hue - aap bohot mazaak karte ho didi aajkal sach mei
Fir manju kehti hai - aap meri baat maano ek baar saree pehenke dekho aur meri tarah banke dekho mai aapko sab kaam sikha duungi aur aap bore bhi hote ho isse accha mere kaam mei haath bhi bat jaayega aur aapka.bhi din kat jaYega acche se
Deepak - nahi nahi didi mai mazaak kar raha thha aap aaraam se kaam karo mai sone jaa raha hu
Fir deepak so jaata hai
Tabhi thodi der baad uuse gehri neend mei sota dekh Manju ko masti sujhti hai aur woh deepak ke haath aur pairo mei nailpaint aur hotho pe laal lipstick laga deti hai aur fir uske pairo mei apne payal utaarke pehna deti hai aur fir chali jaati hai
Jaise hi deepak uthta hai uuse apne pair bhari lagte hai aur woh washroom ki tarah chala jaata hai aur waha chilaata hai ye kya ho gaya
Jitne Manju aa jaati hai aur uuse chhedti hai - kya hua Deepika didi ?
Fir deepak gussa hote hue ye sab aapki hi kartoot hai
Manju - jeebh chidate hue kehti hai maine kaha thha na mai aapko ladke se ladki bana duungi hahahaha
Manju - ab to aap meri saree pehen lo suit karegi aap pe
Manju - waise bhi aap Deepak bhaiya to lag nahi rahe , hamari deepika didi hi sahi
Fir Deepak sab kuch utaarne lagta hai to
Manju uske paas aa jaati hai aur kehti hai pls mere is duniya mai aapke aur memsaab ke alawa kaun hai ? Aap meri itni si baat bhi nahi maan sakte
Tab Deepak ko lagta hai itna to kar hi sakte hai fir woh kehta hai theek hai mai aapki baat maanta hu bas aapko jo karna hai kar lo
Fir Manju khush hote hue kehti hai mujhe hamesha se ek chhoti behen chahiye thi aaj mujhe mil gayi.
To be continue
No comments:
Post a Comment